Is kadar naaraz hain wo mujhse

is kadar naaraz hai wo mujhse
ki ladne ke fakat bahane dhundta hai

ik pal ka sath gawara nahi mera
par yado me, gujre jamaane dhundta hai

Khuda ki rehmat se mayus wo kab tha magar
ab har kuche me wo maikhane dhundta hai

ek anjani kasmasahat pata hai har rishte mein
atit mein the jo, wo khule yaarane dhundta hai

ek jamaana hua is dunia se gam kha raha tha wo
aaj sab dushmano ko wo hisaab chukaane dhundta hai

mana aankho mein rehti thi uski nami hardum
magar hasne ka ab wo bhi bahane dhundta hai

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

gham ka maara hu main... bhid se ghabraata hu...

मेथी के बीज