From old collection : written on March, 19 2008 akhir is jindagi se main kya chahta hu.... ek muddat hui fakat ek jawab is sawal ka na mila.... kya hai arju meri... akhir is jindagi se main kya chahta hu.... jab tak na mila tha wo, ek tanha uski arjoo thi... ab wo hasil hai to badle mein kuch aur chahta hu.... aksar khwaihishe is tarah mujhse majak karti hai.... tamam koshisho ke bad puri kar... phr koi nai rubaru paata hu... is tarah to jindagi ka basar mumkin nahi.... is kaid-e-hawas-e-jindagi se main bas rihahi chahta hu... ye to nahi tha kuch aur hi ban ne ka maksad tha mera.... jara thehar e-dil, main atit mein jaa apna maksad dohrana chahta hu... mere katil tu itminan rakh.. main tujh par iljaam na dunga... main aya hu to bas isliye.. ki apni begunahi jatana chahta hu... e-yaar mere pehlue mein baith tu bhi kuch waqt... kuch lamha... shiqve jitne hai beech mein.. aj main sab mitaana chahta hu... ...
Waah Alok bhai !!
जवाब देंहटाएंTumhare blog par aa ke dil khush ho jaata hai
kya style me foto banaai hai tumne....
kaise kheechte ho yaar aise aise pose me photographs...
aur oopar se tumhari kavitaayen...
Subhaan allah !!!
yaar ye wali pic to laptop ke webcam se li hain... acchi aa gayi...
जवाब देंहटाएंthanka a lot for such nice comments...