From old collection : written on March, 19 2008 akhir is jindagi se main kya chahta hu.... ek muddat hui fakat ek jawab is sawal ka na mila.... kya hai arju meri... akhir is jindagi se main kya chahta hu.... jab tak na mila tha wo, ek tanha uski arjoo thi... ab wo hasil hai to badle mein kuch aur chahta hu.... aksar khwaihishe is tarah mujhse majak karti hai.... tamam koshisho ke bad puri kar... phr koi nai rubaru paata hu... is tarah to jindagi ka basar mumkin nahi.... is kaid-e-hawas-e-jindagi se main bas rihahi chahta hu... ye to nahi tha kuch aur hi ban ne ka maksad tha mera.... jara thehar e-dil, main atit mein jaa apna maksad dohrana chahta hu... mere katil tu itminan rakh.. main tujh par iljaam na dunga... main aya hu to bas isliye.. ki apni begunahi jatana chahta hu... e-yaar mere pehlue mein baith tu bhi kuch waqt... kuch lamha... shiqve jitne hai beech mein.. aj main sab mitaana chahta hu... ...
kya bat he..
जवाब देंहटाएंShukriya Shilpa ji...
जवाब देंहटाएंमैं नहीं कह पाया कभी
जवाब देंहटाएंकुछ अपनी कुछ अनजानी बातें
तुम क्या कोई गेर हो
तुमको क्या समझनी बातें
बहुत प्यारी बातें कहीं हैं आपने
Shukriya Shephali ji...
जवाब देंहटाएंaapki panktiyo ko apne andaaj mein likhna chaha hain...
main nahi keh paya kabhi
kuch apni anjaani baatein
par tum gair nahi koi..
phr tumko kya samjhani batein...