संदेश

teri hi darkaar hain...

hosle se haar jaati hain muskile yu to mere yaar... hosla dene ko bhi magar teri hi darkaar hain... ... Alok Mehta...

Khwab hi lagta hain

khwab mein mere uska.... aana jana to khub hain. magar jindagi mein aana uska to ek khwab hi lagta hain.... ... Alok Mehta...

nasamajh ek diljale se dil lagaye firta hain...

wo mera hokar jamane se itraaye firta hain... nasamajh ek diljale se dil lagaye firta hain.. .... Alok mehta

afsana karar diya

mere kisse mein is tarah k mod aaye.... jisne suna... ek afsana karar diya.... ...aalok mehta...

ishq hu main....

yu to kuch garur kam na tha yaar unhe apne husn ka... magar ishq hu main sunte hi, sajde mein wo jhuk gaye.. aalok mehta...

reh jaata hu aksar kuch budbudata hua....

harf tere naam ke mere labo par aakar laut jaate hain... aur main reh jaata hu aksar kuch budbudata hua.... aalok mehta...

gawara nahi unke lehje mein taasir-e-minnat....

hume gawara nahi unke lehje mein taasir-e-minnat yahi ek wajah hain humne kabhi ruthna nahi sikha aalok mehta...