संदेश

मार्च, 2010 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

जिंदगी नहीं.. जिंदगी से अलग कुछ भी....

चित्र
Beeti jindagi…. ki gujri jindagi Ghamo ke paimane mein utri jindagi Jine ka yaha kise tajurba raha… Lamha lamha sadio kuchli jindagi Har sahar khidkiyo se ye dakhil hui Sham dhale begaane-gairo mein shamil hui.. Raate beetein ise hum khub dhunda kiye.. akhir phir gumshuda makam haasil hui… Malmal ke bhari pardo mein ghut’ti rahi.. Taat ki pattio mein bhi saans ko tarasti rahi Tijorio mein kismato si band bhi yahi .. Kaamgaar ke pasine ki gandh bhi yahi … Futpaath pe lawaris gujarti yahi hain.. Chauraaho pe haath pasaarti .. yahi hain… Yahi hain jo syaah andhero mein palti hain.. Din chade bhi ho jo raat si kaali.. yahi hain… Akhbaaro ki surkiyo mein yahi hain.. Umr bhar ki gumnaamio mein yahi hain… Teri-meri najar apni pehchaan jo takti hain.. Apne chehre ki hairaanio mein yahi hain… Ye jindagi aas ka suraj bhi hain.. Ye tute khwab si badsurat bhi hain Yahi hain tere-mere wajud ka haasil.. Hasti fanaa karne ki surat bhi hain… Waqt ki aandhi mein gira ye darakht hain.. Ghas ka Tinka bhi

हूँ नहीं हासिल तुझे...मजबूर हूँ मैं

तेरी खातिर तुझसे अब दूर हूँ मैं... हूँ नहीं हासिल तुझे...मजबूर हूँ मैं मैं नहीं कि... तेरी तकदीर कोई और हैं... दो दिन जो न ठहरा... वो फितूर हूँ मैं दोस्ती यू ही रहती ख्वाबो सी तो बुरा क्या था इश्क जताकर तो अब तेरा दुश्मन मशहूर हूँ मैं फकत वो कहा... जो सुनना तेरी ख्वाहिश थी ... तुझी पर हैं इल्जाम.. अब तेरा ही कसूर हूँ मैं जेहन-ओ-दिल से दूर रह कि तकलीफ बेहद होती हैं... यादो की हवा न दे... दुखता हूँ कि अब नासूर हूँ मैं तेरी अब भी आरजू कि दोस्त बन ही रह जाए हम ... तू संभल चुकी हैं मगर होश से अब भी कोसो दूर हूँ मैं तो क्या हुआ कि जो तू न मिल पायी मुझे... तू कभी थी मेरी... ये सोच बेहद मगरूर हूँ मैं... पहली बार नहीं "आलोक" नाकाम हुआ हो उल्फत में इश्क नहीं हैं यार फितरत में...इस खेल बेशःउर हूँ मैं ...आलोक मेहता... ---------------------------------------- ------------------------------------- teri khatir tujhse ab dur hu main hun nahi haasil tujhe... majboor hun main main nahi ki.. teri takdeer koi aur hain do din jo na tehrat.. wo fitoor hun main dosti yu hi rehti khwabo si to bura k