जिंदगी नहीं.. जिंदगी से अलग कुछ भी....


Beeti jindagi…. ki gujri jindagi
Ghamo ke paimane mein utri jindagi
Jine ka yaha kise tajurba raha…
Lamha lamha sadio kuchli jindagi

Har sahar khidkiyo se ye dakhil hui
Sham dhale begaane-gairo mein shamil hui..
Raate beetein ise hum khub dhunda kiye..
akhir phir gumshuda makam haasil hui…

Malmal ke bhari pardo mein ghut’ti rahi..
Taat ki pattio mein bhi saans ko tarasti rahi
Tijorio mein kismato si band bhi yahi ..
Kaamgaar ke pasine ki gandh bhi yahi …


Futpaath pe lawaris gujarti yahi hain..
Chauraaho pe haath pasaarti .. yahi hain…
Yahi hain jo syaah andhero mein palti hain..
Din chade bhi ho jo raat si kaali.. yahi hain…

Akhbaaro ki surkiyo mein yahi hain..
Umr bhar ki gumnaamio mein yahi hain…
Teri-meri najar apni pehchaan jo takti hain..
Apne chehre ki hairaanio mein yahi hain…


Ye jindagi aas ka suraj bhi hain..
Ye tute khwab si badsurat bhi hain
Yahi hain tere-mere wajud ka haasil..
Hasti fanaa karne ki surat bhi hain…

Waqt ki aandhi mein gira ye darakht hain..
Ghas ka Tinka bhi hain jo tufaan se besar hain…
Thaki haari khwaishe bhi naam hain..
Khwab kuch anjaan.. bekhabar pehchaan hain…

Aankh se chalke dard ke moti yahi hain..
Bheegi palko pe thehri khusi yahi hain…
Teri-meri chahat ka hain sarmaaya bhi
Uski (khuda ki) rehmat kaa hain saaya bhi..

Kya kya kahu ise.. kitne khitaab du ise…
Jitne bhi du naam.. kuch to kami hogi…
jindagi nahi jindagi se alag kuch bhi…
ye jaan le agar..har pal ye hasi hogi....


...aalok mehta...
6
बीती जिंदगी कि... गुजरी जिंदगी...
ग़मों के पैमाने में उतरी जिंदगी
जीने का यहाँ किसे तजुर्बा रहा
लम्हा लम्हा सदियो कुचली जिंदगी

हर सहर खिडकियों से ये दाखिल हुई..
शाम ढले बेगाने-गैरो में शामिल हुई..
रात बीते इसे खूब ही ढूंढा किये...
फिर गुमशुदा मक़ाम हासिल हुई...

मलमल के भरी पर्दों में घुटती रही
टाट कि पत्तियो में भी सांस को तरसी रही
तिजोरियो में किस्मतो सी बंद भी यही
कामगार के पसीने की गंध भी यही

फूटपाथ पे लावारिस गुजरती यही हैं
चौराहों पे हाथ पसारती .. यही हैं
यही हैं जो स्याह अंधेरो में पलती हैं
दिन चढ़े भी हो जो रात सी काली.. यही हैं

अखबारों की सुर्खियों में यही हैं
उम्र भर की गुमनामियो में यही हैं
तेरी-मेरी नजर अपनी पहचान जो तकती हैं
अपने चेहरे की हैरानियो में यही हैं

ये जिंदगी आस का सूरज भी हैं
ये टूटे ख्वाब सी बदसूरत भी हैं
यही हैं तेरे मेरे वजूद का हासिल
हस्ती फना करने की सूरत भी हैं

वक़्त की आंधी में गिरा दरख़्त हैं
तिनका भी हैं जो तूफ़ान से बेअसर हैं
थकी हारी ख्वाहिशे भी नाम हैं
ख्वाब अनजान.. बेनाम पहचान हैं

आँख से चलके दर्द के मोती यही हैं .
भीगी पलकों पे ठहरी ख़ुशी यही हैं
तेरी मेरी चाहत का हैं सरमाया भी
उसकी (खुदा की ) रहमत का हैं साया भी ...

क्या क्या कहू इसे.. कितने खिताब दू इसे
जिंतने भी लू नाम.. कुछ तो कमी होगी...
जिंदगी नहीं जिंदगी से अलग कुछ भी..
ये जान ले अगर.. हर पल ये हसी होगी.....


...aalok mehta...

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

gham ka maara hu main... bhid se ghabraata hu...

मेथी के बीज