tune kaha to maine yaar ye mohabbat bhi kar li

tune kaha to maine yaar ye mohabbat bhi kar li
ab nibhaunga bhi ise, aisa koi dawa nahi karta....

har waqt mere lehje mein yahi talki milegi tujhe...
main is jamane sa koi dikhawa nahi karta...


lafj mere labo se kabhi bin soche yu hi nahi girte...
apni baato ka main kabhi pachtawa nahi karta


ab jo tujhse kaha hain to koi baat to hogi...
ki bewajah yu hi main koi wada nahi karta....

gujra hai mujhe par wo anjaam-e-mohabbat....
ab kisi shaks se guftagu jyaada nahi karta..

टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

gham ka maara hu main... bhid se ghabraata hu...

मेथी के बीज