yu to us'se maine kabhi koi wasta na rakhna tha..

yu to us'se maine kabhi koi wasta na rakhna tha..
magar ruh ko to meri fakat bas uski hi khwaish thi....

sanso ko har pal har lamha ek arju rahi uski
aur dhadkano ko bhi uski dhadkano ki farmaish thi...

baho ko chahat thi un larjati kalai tham le wo....
kuch pal sath chale baho me bahe dal le wo....

kano ki bhi kuch alyada hi apni gujarish thi...
awak ki khank, wo jo unki khilkhilahat thi...

kadmo ko mere unke sath kuch kadam jo chalna tha....
chand lamho ki darmiya meelo ka safat tay karna tha...

bas ek dil hi tha jise kuch na pane ki unse arju thi...
kyu ki wo hi to isme poshida, har jagah har su thi....

ab jab wo mujhse bin kahe bin sue yaha yu juda ho rahe hain
katra katra baras raha hu, katra katra hi mere tukde ho rahe hain

jism ke har hisse ne jaise bagawat si kar di hain....
wo nahi to khud ko fana kane ki jid pakad li hain....

ab jo inke naseeb mein nahi. to kis kadar inke wo naam kar du.....
hain fakat itni arju, kisi surat unke sajde apni khusiya tamam kar du

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

gham ka maara hu main... bhid se ghabraata hu...

मेथी के बीज