"aalok" Wo gaya to, naya dard na koi de gaya..

uske baad dil ne kisi ko apna jatana chod diya…
Ulfat mein ab humne jhuti aas lagana chod diya….

Ek waqt tha uski khatir hum raat jagayi rakhte the...
Ab wo nahi to... humne bhi... chiraag jalana chod diya…

Unke daman se juda hui jab se ye ungliya apni…
Unhone apni aankh mein kajal lagana chod diya….

Jis roj se suna wo shahar chod ye chale gaye..
Humne bhi yu hi galio mein.. aana jaana chod diya….

Is hijr ne mod diya jindagi se yu moh mera…
Humne jine ka apna har ek... bahana chod diya….

mujhse taalukaat ka dawa tha uska mehfilo mein
Jisne ab raaho mein mujhse haath milana chod diya…

Ab to us par yaki raha na khud par aitbaar hi hain…
Usne jab se badi behrami se yaki-e-dostaana tod diya…

ab bhi sulagti hain seene mein use paane ki khwahish kahi
apni chahat ka isme chahe... usne.. alaw jalana chod diya…

Uske ek bulawe par sab chod-chaad kar chal pada…
dil ne nayi umeedo par phr ek khawab purana chod dia….

Wo chala gya meri dunia lekar se sab apne saath hi…
Aur meri khatir bus usne ye ek afsaana chod dia…

Sab taaruf logo ke usne apni yaad par mita diye…
mere hisse bas ek apna... naam dohraana chod dia…

"aalok" Wo gaya to, naya dard na koi de gaya..
nasthar chuba ke bas wahi ek jhakhm purana chod dia...


...aalok mehta...

dated - 08-06-2008
(with slight modifications)

टिप्पणियाँ

  1. Ek waqt tha uski khatir hum raat jagayi rakhte the...
    Ab wo nahi to... humne bhi... chiraag jalana chod diya…
    pyaar ke ehsaason ko maun geet bana diya

    जवाब देंहटाएं
  2. @ Rashmi Prabha ji...


    ap pehli baar mere blog pe aayi evam apna sneh'aashish diya... rachna ko padha evam saraaha..

    main kritagya hua

    Behad shukriya...

    जवाब देंहटाएं

एक टिप्पणी भेजें

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

gham ka maara hu main... bhid se ghabraata hu...

मेथी के बीज